dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete